Kuch saalon baad…

Kuch saalo baad…

Ye pal bahut yaad aayenge

Jab in aankhon me palte sapne,

Haqeeqat me badal jayenge

Ek dusre ki taang khichne ko taras jayenge,

Jab hum sab apne apne pairon par khade ho jayenge…

Baarish ke mausam me

In yaadon ke aansoon baras aayenge

Jab udaas hone par ek dusre ko…

Gale nahi laga payenge

Khushiyaan toh zamaane bhar ki khareed layenge…

Par khushiyaan baantne ke liye…

Lamhein kam pad jayenge!!!


Chai ki chuskiyaan yaad un dosto ki dilayegi

Dil ke kisi ek kone me jab yaadein uthal-puthal machayegi

Akele jab bhi honge, ye aankhein nam ho jayegi

Ye khatti-meethi baatein jab ek sureela sargam ban jayegi

In palon ko dil kholke jee lo yaaron…

Kyuki zindagi apna ye geet fir nahi gungunayegi!!!


Kuch saalo baad ye pal bahut yaad aayenge

Jab hum sab alag alag rangon me rang jayenge

Haathon se ye haath hamesha ke liye chhut jayenge,

Jab hum sab apni apni raahon par chale jayenge!!!

-Sahil

Leave a comment