Koi Khaas Nahi!

Koi tumse puche kaun hoon mein,
Tum bas keh dena koi khaas nahi!

Ek dost hai kaccha-pakka sa
Ek jhooth hai aadha-saccha sa,
Jeevan ka aisa saathi hai
Jo paas hokar bhi paas nahi,
Koi tumse puche kaun hoon mein,
Tum bas keh dena koi khaas nahi!

Ek shakhs jo aankhon se bayaan kar jata hai
Ek shakhs jo yaadon me dhundhla sa yaad aata hai,
Yun toh uske naa hone ka mujhe koi gham nahi
Magar kabhi-kabhi wo aankhon se aansoon ban beh jata hai,
Yun toh rehta hai mere zehen me
Magar aankhon ko ab uski talaash nahi,
Koi tumse puche kaun hoon mein,
Tum bas keh dena koi khaas nahi!

Ek raaz gehra, mujhme thehra sa
Ek khwaab hai koi yunhi adhoora sa,
Yun toh mere har kisse ka wo hissa hai
Magar meri kahaani ka kirdaar nahi,
Yun toh mere har ehsaas me uska raabta hai,
Magar ab jaane do, in baaton ka koi aadhaar nahi,
Koi tumse puche kaun hoon mein,
Tum bas keh dena koi khaas nahi!

~~ Koi Khaas Nahi!

(Sahil=

2 thoughts on “Koi Khaas Nahi!

Leave a comment